
Clicks on ADS 👇👇
.Clicks on ADS 👇👇
Clicks on ADS 👇👇
.Clicks on ADS 👇👇
.Aahat Shayari / Poetry in Urdu text and Hindi is available here. Get a Best collection Aahat Shayari Hindi images Urdu poetry, quotes , SMS in English 2 lines Aahat poetry from here. We hope you like Shayari on Aahat in Urdu and Hindi, & English. if you want more aane ki Aahat Shayari in Urdu &English go down and click related post.
Latest Aahat Poetry in Urdu SMS Poetry quotes and status uploaded on Facebook and Instagram. Find Here the Unique Poetry of Urdu and Hindi poets. Our team daily upload all type of Shayari in this site. You can find your favorite aahat shayari in hindi image on this site and share it with your loved ones. We hope you enjoyed our collection. If you liked poetry on Aahat in Urdu 2 line Collection, please let us know by commenting below.
aahat shayari in hindi

bahut pahlē sē un qadmōn ki aahaT jaan lētē hain
tujhē ai zindagi ham duur sē pahchan lētē hain
bahut pahlē sē un qadmōn ki aahaT jaan lētē hain
tujhē ai zindagi hum dur sē pahchan lētē hain
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
kaun aa.ēga yahan kōi na aaya hōga
mēra darvaza havaōn nē hilaya hōga
kaun aaēga yahan kōi na aaya hōga
mēra darwaza hawaōn nē hilaya hōga
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
dil par dastak dēnē kaun aa nikla hai
kis ki aahaT sunta huun viranē mēn
dil par dastak dēnē kaun aa nikla hai
kis ki aahaT sunta hun viranē mēin
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
jisē na aanē ki qasmēn main dē kē aaya huun
usi kē qadmōn ki aahaT ka intizar bhi hai
jisē na aanē ki qasmēn main dē kē aaya hun
usi kē qadmōn ki aahaT ka intizar bhi hai
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
aahaT si kōi aa.ē tō lagta hai ki tum hō
saaya kōi lahra.ē tō lagta hai ki tum hō
aahaT si kōi aaē tō lagta hai ki tum hō
saya kōi lahraē tō lagta hai ki tum hō
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
Aahat Shayari in Hindi

main nē din raat ḳhuda sē yē dua mangi thi
kōi aahaT na hō dar par mirē jab tū aa.ē
main nē din raat KHuda sē yē dua mangi thi
kōi aahaT na hō dar par mērē jab tu aaē
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
ahaTēn sun raha huun yadōn ki
aaj bhi apnē intizar mēn gum
aahaTēn sun raha hun yaadōn ki
aaj bhi apnē intizar mēin gum
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
‘aḳhtar’ guzartē lamhōn ki aahaT pē yuun na chaunk
is matami julūs mēn ik zindagi bhi hai
‘aKHtar’ guzartē lamhōn ki aahaT pē yun na chaunk
is matami julus mēin ēk zindagi bhi hai
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
ḳhamōshi mēn chahē jitna bēgana-pan hō
lēkin ik aahaT jani-pahchani hōti hai
KHamōshi mēin chahē jitna bēgana-pan hō
lēkin ēk aahaT jaani-pahchani hōti hai
Aahat Shayari in Hindi
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
niind aa.ē tō achanak tiri aahaT sun luun
jaag uTThūn tō badan sē tiri ḳhushbū aa.ē
nind aaē tō achanak tēri aahaT sun lun
jag uTThun tō badan sē tēri KHushbu aaē
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
Aahat Shayari in Hindi

kōi halchal hai na aahaT na sada hai kōi
dil ki dahliz pē chup-chap khaḌa hai kōi
kōi halchal hai na aahaT na sada hai kōi
dil ki dahliz pē chup-chap khaDa hai kōi
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
kōi avaz na aahaT na kōi halchal hai
aisi ḳhamōshi sē guzrē tō guzar ja.ēngē
kōi aawaz na aahaT na kōi halchal hai
aisi KHamōshi sē guzrē tō guzar jaēngē
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
is andhērē mēn na ik gaam bhi rukna yaarō
ab tō ik dūsrē ki ahaTēn kaam a.ēngi
is andhērē mēin na ēk gam bhi rukna yarō
ab tō ēk dusrē ki aahaTēn kaam aaēngi
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
jab zara raat hui aur mah ō anjum aa.ē
bar-ha dil nē yē mahsūs kiya tum aa.ē
jab zara raat hui aur mah ō anjum aaē
bar-ha dil nē yē mahsus kiya tum aaē
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
pahlē tō us ki yaad nē sōnē nahin diya
phir us ki ahaTōn nē kaha jagtē rahō
pahlē tō us ki yaad nē sōnē nahin diya
phir us ki aahaTōn nē kaha jagtē rahō
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
aaj bhi naqsh hain dil par tiri aahaT kē nishan
ham nē us raah sē aurōn kō guzarnē na diya
aaj bhi naqsh hain dil par tēri aahaT kē nishan
hum nē us rah sē aurōn kō guzarnē na diya
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
shaam Dhalē aahaT ki kirnēn phūTi thiin
sūraj Duub kē mērē ghar mēn nikla tha
sham Dhalē aahaT ki kirnēn phuTi thin
suraj Dub kē mērē ghar mēin nikla tha
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
apni aahaT pē chaunkta huun main
kis ki duniya mēn aa gaya huun main
apni aahaT pē chaunkta hun main
kis ki duniya mēin aa gaya hun main
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
aahaT bhi agar ki tō tah-ē-zat nahin ki
lafzōn nē ka.i din sē kōi baat nahin ki
aahaT bhi agar ki tō tah-ē-zat nahin ki
lafzōn nē kai din sē kōi baat nahin ki
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
yē zulf-bar-dōsh kaun aaya yē kis ki aahaT sē gul khilē hain
mahak rahi hai faza-ē-hasti tamam aalam bahar sa hai
yē zulf-bar-dōsh kaun aaya yē kis ki aahaT sē gul khilē hain
mahak rahi hai faza-ē-hasti tamam aalam bahaar sa hai
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
yē bhi raha hai kūcha-ē-janan mēn apna rang
aahaT hui tō chand darichē mēn aa gaya
yē bhi raha hai kucha-ē-jaanan mēin apna rang
aahaT hui tō chand darichē mēin aa gaya
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
Aahat Shayari in Hindi
kōi dastak kōi aahaT na sada hai kōi
duur tak ruuh mēn phaila hua sannaTa hai
kōi dastak kōi aahaT na sada hai kōi
dur tak ruh mēin phaila hua sannaTa hai
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
dil kē suunē sēhn mēn gūnji aahaT kis kē paanv ki
dhūp-bharē sannaTē mēn avaz suni hai chhanv ki
dil kē sunē sēhn mēin gunji aahaT kis kē panw ki
dhup-bharē sannaTē mēin aawaz suni hai chhanw ki
Aahat Shayari in Hindi
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
kisi aahaT mēn aahaT kē siva kuchh bhi nahin ab
kisi sūrat mēn sūrat kē siva kya rah gaya hai
kisi aahaT mēin aahaT kē siwa kuchh bhi nahin ab
kisi surat mēin surat kē siwa kya rah gaya hai
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
har lahza us kē paanv ki aahaT pē kaan rakh
darvazē tak jō aaya hai andar bhi aa.ēga
har lahza us kē panw ki aahaT pē kan rakh
darwazē tak jō aaya hai andar bhi aaēga
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
Leave a Reply