Afsana Shayari / Poetry Urdu & Hindi | Afsane Quotes SMS & Status Imag

Afsana Shayari / Poetry in Urdu and Hindi is available here. Get a Big collection of daily Afsane poetry photo quotes in English. Shayari on Afsana of a girl 2 line status from here. We hope you like Afsana shayari images Hindi, Urdu & English. if you want more Afsane quotes rekhta and poetry in Urdu and English go down and click related post.

Shayari on Afsana In Urdu SMS quotes and status uploaded on Facebook and Instagram. Found Here the latest collection of English and Hindi poets. Our team daily update all type of Shayari in this site. You can find your favorite Poetry on this site and share it with your loved ones. We hope you enjoyed our collection. If you liked Android Afsana Shayari /अफसाना शायरी रेख़्ता 2 line Collection, please let us know by commenting below.

 

afsana shayari images
afsana shayari images

 

 

Rōshan Sheher Se Mūtasir Na Kar,
Main Hasee’n Veerane Mein Hūn
Haqeeqat Pe Meri Nazar Na Kar,
Main Kitaabi Afsane Mein Hūn
،روشن شہر سے متاثر نہ کر
میں حسیں ویرانے میں ہوں
،حقیقت پہ میری نظر نہ کر
میں کتابی افسانے میں ہوں

 


 

 

 

 

Teri Zaat Ne Bana Dee,
Meri Zindagi Fasana
تیری ذات نے بنا دی
میری زندگی فسانہ

 

 


 

 

 

 

ūssey Chaha Tōh Mōhabbat Ki Samajh Aayi Warna,
Hūm Ishq Ki Takleef Ke Būs Afsaane Sūna Karte Thay

 

 


 

 

Aik Mūddat Ke Baad Hūm Ne Yeh Jaana Ae Khūda,
Ek Teri Zaat Se Ishq Sacha, Baaqi Sab Afsaane Hain

 


 

 

 

Yeh Kiska Tasawar Hai, Yeh Kiska Fasana Hai,
Jō Ashk Hai Aankhōn Mein Tasbih Ka Dana Hai
Aankhōn Mein Nami Si Hai Chūp Chūp Se Wōh Baithe Hain,
Nazūk Si Nigaahōn Mein Naazūk Sa Fasana hai
Yeh Ishq Nahi Aasaan Itna Tōh Samajh Lijiye,
Ek Aag Ka Dariya Hai Aūr Dōōb Ke Jana Hai
Yaa Wōh Thay Khafa Hūm Se Ya Hūm Thay Khafa ūnse,
Kal ūnka Zamana Tha Aaj Apna Zamana Hai

 

 


 

 

 

afsana shayari in hindi
afsana shayari in hindi

Masōōm Mōhabbat Ka Būs Itna Fasana Hai
Kaghaz Ki Haveli Hai Barish Ka Zamana Hai
Kya Shart e Mōhabbat Hai Kya Shart e Zamana Hai
Awaaz Bhi Zakhmi Hai Aūr Geet Bhi Gaana Hai
ūs Per ūtarnay Ki ūmeed Bōhat Kam Hai
Kashti Bhi Pūraani Hai Aūr Tōōfan Kō Bhi Aana Hai
Samjhay Ya Na Samjhay Wō Andaaz Mōhabbat Ka
Aik Shakhs Kō Aankhō Se Aik Shair Sūnana Hai
Yeh Ishq Nahi Aasan Būs Itna Samajh Lijiye
Aik Aag Ka Dariya Hai Aūr Dōōb Kar Jana Hai

 

 


 

 

 

 

Mōhabbat Karke Dekha Tōh Mōhabbat Ki Pehchan Hūyi,
Wafa Būs Naam Ki, Bewafa Ka Afsaana Hai

 

 

 


 

 

 

जब तक साँस है टकराव मिलते रहेंगे,
जब तक रिश्ते है घाव मिलते रहेंगे,
पीठ पीछे बोलते है उन्हें पीछे ही रहने दो,
रास्ता सही है तो गैरों से भी लगाव मिलते रहेंगे !!

Jab tak sans hai takarav milte rahenge,
Jab tak rishtey hai ghav milte rahenge,
Pith pichhe bōlte hai ūnhe pichhe hi rehane dō,
Rasta sahi hai tō gairōn se bhi lagav milte rahenge..

 

 


 

 

Warq Warq Per Teri Ibarat, Tera Fasana, Teri Hikayat,
Kitaab e Hasti Jahan Se Khōli, Teri Mōhabbat Ka Baab Nikla
ورق ورق پر تیری عبارت، تیرا فسانہ، تیری حکایت
کتابِ ہستی جہاں سے کھولی، تیری محبت کا باب نکلا

 

 


 

 

 

वृध्ध अतीत में जीता है
इसलिए निराश रहता है,
युवा भविष्य में जीता है
इसलिए निराश रहता है,
बच्चा वर्तमान में जीता है
इसलिए सदैव प्रसन्न रहता है,
वर्तमान में जिए और सदैव प्रसन्न रहे !!

Vrūdh atit mein jita hai
Is liye nirash rehata hai,
Yūva bhavishya mein jita hai,
Is liye nirash rehata hai,
Baccha Vartman mein jita hai,
Is liye sadev prasann rehata hai,
Vartman mein jiye aūr sadev prasann rahe..

 

 


 

 

वक्त वक्त को बदल देता है,
बस वक्त को थोडा वक्त दो !!

Waqt Waqt kō badal deta hai,
Bas waqt kō thōda Waqt dō..

 

 

 


 

 

 

 

Ek Lafz Mōhabbat Ka Adnaa Sa Fasaana Hai,
Simttay Tōh Dil e Aashiq, Phailay Tōh Zamana Hai

 

 


 

 

 

 

In Aankhōn Ki Masti Ke Mastaane Hazarōn Hain,
In Aankhōn Se Wabasta Afsaaney Hazarōn Hain
اِن آنکھوں کی مستی کے مستانے ہزاروں ہیں
اِن آنکھوں سے وابستہ افسانے ہزاروں ہیں

 

 


 

 

 

 

افسانہ درد دل کا جب سنا دیتےہیں
میرےاشکوں کاسمندرچلا دیتےہیں
وہ خیالوں کو قابو میں رکھتےنہیں
رات کوآکر مجھےجگا دیتےہیں
جب کسی بات پہ بس نہیں چلتا
مجبوری میں آنسو بہادیتےہیں
ہم ان کو کچھ اورنہیں دیتے
پھولوں کا گلدستہ بھجوادیتےہیں
جواب میں وہ بڑےپیار سے
اصغرکو سلام ودعا دیتےہیں

 

 


 

 

 

 

मंजिले बहुत है अफ़साने बहुत है,
राहे जिन्दगी में इम्तेहान आने बहुत है,
मत करो गिला उसका जो मिला नहीं,
इस दुनिया में खुश रहने के बहाने बहुत है !!

Manzile bahōt hai Afsane bahōt hai,
Rahe Zindagi mein imtehan bahōt hai,
mat karō gila ūska jō mila nahi,
Is dūniya mein khūsh rahane ke bahane bahōt hai..

 

 

 


 

 

 

 

जिन्दगी में कभी उदास मत होना,
कभी किसी बात पर निराश मत होना,
ये जिन्दगी एक संघर्ष है चलती रहेगी,
कभी अपने जीने का अंदाज मत खोना !!

Zindagi mein kabhi ūdas mat hōna,
Kabhi kisi baat par nirash mat hōna,
Ye Zindagi ek sanghrsh hai chalti rahegi,
kabhi apne jeene ka andaz mat khōna..

 

 

 


 

 

 

 

Teri Kahani , Saari Dūniya
Mera Fasaana , Būs Aik Tūm

 

 

 


 

 

 

 

 

Mōhabbat Ka Fasaana Yaad Aaya,
Hūmein Gūzra Zamana Yaad Aaya

 

 


 

 

 

Dafan Kar Sakta Hūn Sene Mein Tūmhare Raaz Kō
Aūr Tūm Chahō Tū Afsana Bna Sakta Hūn Mein

 

 

 

Leave a Comment