
Asrar ul Haq Majaz poetry in Urdu and Hindi is available. Asrar-ul-Haq’s (Majaz Lakhnawi) poetry, ghazals, and poems are very popular in Pakistan and India. If you love Asrar-ul-Haq’s poetry then you are at the right place. Our team uploads Urdu and Hindi Poetry daily. You can get the poetry of your favorite shire here.
Here are lots of collections of Famous Shayar poetry in Urdu download images from here. if you like Urdu poets you are right place. Read and share Asrar ul Haq majaz poetry on Facebook and Instagram. Rekhta android Shayari in Hindi and Urdu daily upload at this blog.
[su_heading]Asrar ul Haq Majaz Poetry[/su_heading]

سب کا تو مداوا کر ڈالا اپنا ہی مداوا کر نہ سکے
سب کے تو گریباں سی ڈالے اپنا ہی گریباں بھول گئے
Sàb Kà Tu Màdàwà Kàr Dàlà àpnà Hi Màdàwà Nà Kàr Sàke
Sàb Ke Tu Giràybàn See Dààle àpnà Hi Giràybàn Bhol Gàye
Asrar ul Haq Majaz poetry
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
یہ میرے عشق کی مجبوریاں معاذ اللہ
تمہارا راز تمہں سے چپھارہا ہوں میں
Ye Mere Ishq Ki Màjboriàn Mààz àllàh
Tumhàrà Rààz Tumhi Se Chupà Ràhà Hun Mein
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
یہ آنا کوئی آنا ہے کہ بس رسما چلے آئے
یہ ملنا خاک ملنا ہےکہ دل سے دل نہیں ملتا
Ye àànà Koi àànà Hài Ke Bàs Ràsmàn Chàle ààye
Ye Milnà Khàk Milnà Hài Ke Dil Se Dil Nàhi Miltà
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
ہم عرض وفا بھی کر نہ سکے کچھ کہہ نہ سکے کچھ سن نہ سکے
یاں ہم نے زباں ہی کھولی تھی واں آنکھ جھکی شرما بھی گئے
Hàm àrz-E Wàfà Bhi Kàr Nà Sàke Kuch Keh Nà Sàke Kuch Sun Nà Sàke
Yà Hàm Ne Zubàn Hi Kholi Thi Wàn àànkh Jhuki Shàrmà Gàye
Asrar ul Haq Majaz poetry
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
یا تو کسی کو جرآت دیدار ہی نہ ہو
یا پھر مری نگاہ سے دیکھا کرئے کوئی
Yà Tu Kisi Ko Juràt-E Deedàr Hi Nà Ho
Yà Phir Meri Nigàh Se Dekhà Kàre Koi
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
پھر میری آنکھ ہوگئی نمناک
پھرکسی نے مزاج پوچھا ہے
Phir Meri àànkh Ho Gàyi Ghàmnàk
Phir Kisi Ne Màzàj Pochà Hài
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
کچھ تمہاری نگاہ کافر تھی
کچھ مجھے بھی خراب ہونا تھا
Kuch Tumhàri Nigàh Kàfir Thi
Kuch Mujhe Khàràb Honà Thà
Asrar ul Haq Majaz poetry
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
ڈبو دی تھی جہاں طوفاں نے کشتی
وہاں سب تھے خدا کیا نا خدا کیا
Dàbo Di Thi Jàhàn Tufàn Ne Kàshti
Wàhàn Sàb Thày Khudà Kyà Nà Khudà Kyà
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
کمال عشق ہے دیوانہ ہو گیا ہوں میں
یہ کس کے ہاتھ سے دامن چھٹرا رہا ہوں میں
Kàmàl Ishq Hài Dewànà Ho Gàyà Hun Mein
Ye Kis Ke Hàth Se Dàmàn Churà Ràhà Hun Mein
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
دفن کر سکتا ہوں سینے میں تمہارے راز کو
اور تم چاہو تو افسانہ بنا سکتا ہوں میں
Dàfàn Kàr Sàktà Hun Sene Mein Tumhàre Rààz Ko
àur Tum Chàho Tu àfsànà Bnà Sàktà Hun Mein
[su_divider divider_color=”#000edc” size=”5″]
اے شوق نظارہ کیا کہیے نظروں میں کوئی صورت ہی نہیں
اے ذوق تصور کیا کیجئے ہم صورت جاناں بھول گئے
àe Shoq e Nàzàrà Kyà Kehye Nàzron Mein Koi Suràt Hi Nàhi
àe Zoq Tàsàwur Kyà Kejiye Hàm Soràt E Jànà Bhol Gàye
[su_heading]Majaz Nazm[/su_heading]
Awara
shahR ki Raat auR maiñ nashad o nakaRa phiRūñ
jagmagati jagti sadkoñ pe avaRa phiRūñ
ġhaiR ki basti hai kab tak daR-ba-daR maaRa phiRūñ
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
jhilmilate qumqumoñ ki Raah meñ zanjiR si
Raat ke hathoñ meñ din ki mohni tasviR si
meRe siine paR magaR Rakhi hui shamshiR si
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
ye Rupahli chhañv ye akash paR taRoñ ka jaal
jaise suufi ka tasavvuR jaise ashiq ka ḳhayal
aah lekin kaun jaane kaun samjhe ji ka haal
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
phiR vo TuuTa ik sitaRa phiR vo chhūTi phul-jadi
jaane kis ki god meñ aa.i ye moti ki ladi
huuk si siine meñ uTThi choT si dil paR padi
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
Raat hañs hañs kaR ye kahti hai ki mai-ḳhane meñ chal
phiR kisi shahnaz-e-lala-Ruḳh ke kashane meñ chal
ye nahiñ mumkin to phiR ai dost viRane meñ chal
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
haR taRaf bikhRi hui Rañginiyañ Ra.ana.iyañ
haR qadam paR ishRateñ leti hui añgda.iyañ
badh Rahi haiñ god phaila.e hue Rusva.iyañ
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
Raste meñ Ruk ke dam le luuñ miRi aadat nahiñ
lauT kaR vapas chala ja.ūñ miRi fitRat nahiñ
auR koi ham-nava mil jaa.e ye qismat nahiñ
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
muntaziR hai ek tūfan-e-bala meRe liye
ab bhi jaane kitne daRvaze haiñ va meRe liye
paR musibat hai miRa ahd-e-vafa meRe liye
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
ji meñ aata hai ki ab ahd-e-vafa bhi tod duuñ
un ko pa sakta huuñ maiñ ye aasRa bhi tod duuñ
haañ munasib hai ye zanjiR-e-hava bhi tod duuñ
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
ik mahal ki aad se nikla vo piila mahtab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki javani jaise beva ka shabab
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
dil meñ ik sho.ala bhadak uTTha hai aḳhiR kya kaRūñ
meRa paimana chhalak uTTha hai aḳhiR kya kaRūñ
zaḳhm siine ka mahak uTTha hai aḳhiR kya kaRūñ
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
ji meñ aata hai ye muRda chañd taaRe noch luuñ
is kinaRe noch luuñ auR us kinaRe noch luuñ
ek do ka zikR kya saaRe ke saaRe noch luuñ
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
muflisi auR ye mazahiR haiñ nazaR ke samne
saikdoñ sultan-e-jabiR haiñ nazaR ke samne
saikdoñ chañgez o nadiR haiñ nazaR ke samne
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
le ke ik chañgez ke hathoñ se ḳhanjaR tod duuñ
taaj paR us ke damakta hai jo patthaR tod duuñ
koi tode ya na tode maiñ hi badh kaR tod duuñ
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
badh ke us indaR sabha ka saaz o samañ phūñk duuñ
us ka gulshan phūñk duuñ us ka shabistañ phūñk duuñ
taḳht-e-sultañ kya maiñ saaRa qasR-e-sultañ phūñk duuñ
ai ġham-e-dil kya kaRūñ ai vahshat-e-dil kya kaRūñ
[su_heading]asrar ul haq majaz Nazam majburiyan[/su_heading]
main aa.hen bhar nahin saktà ki naġhme gà nahin saktà
sakūn lekin mire dil ko mayassar aa nahin saktà
koi naġhme to kyà ab mujh se merà saaz bhi le le
jo gaanà chàhtà huun aah vo main gà nahin saktà
matà-e-soz-o-sàz-e-zindagi paimàna o barbat
main ḳhud ko in khilaunon se bhi ab bahlà nahin saktà
vo bàdal sar pe chhà.e hain ki sar se haT nahin sakte
milà hai dard vo dil ko ki dil se jà nahin saktà
havas-kàri hai jurm-e-ḳhud-kushi meri shari.at men
ye hadd-e-àḳhiri hai main yahàn tak jà nahin saktà
na tūfàn rok sakte hain na àndhi rok sakti hai
magar phir bhi main us qasr-e-hasin tak jà nahin saktà
vo mujh ko chàhti hai aur mujh tak aa nahin sakti
main us ko pūjtà huun aur us ko pà nahin saktà
ye majbūri si majbūri ye làchàri si làchàri
ki us ke giit bhi dil khol kar main gà nahin saktà
zabàn par be-ḳhudi men naam us kà aa hi jaatà hai
agar pūchhe koi ye kaun hai batlà nahin saktà
kahàn tak qissa-e-àlàm-e-furqat muḳhtasar ye hai
yahàn vo aa nahin sakti vahàn main jà nahin saktà
haden vo khinch rakkhi hain haram ke pàsbànon ne
ki bin mujrim bane paiġhàm bhi pahunchà nahin saktà
Nice collection bhai ❣️