Badan Shayari / Poetry Urdu & Hindi | Romantic Badan Quotes / SMS |

Badan Shayari / Poetry in Urdu & Hindi gets from here. We have lots of unique collections of romantic badan shayari  In Urdu for friends in Hindi Quotes in Hindi text. Badan Status available. Read and copy Ghazal on khubsurat badan shayari for lovers message Urdu, SMS /Status in Hindi and English with images and share on social media and What’s App friends.

Bheega badan shayari in Urdu text for girlfriend/boyfriend in Hindi SMS and Shayari quotes and status uploaded on Facebook and Instagram. Find Here the latest collection of Urdu and Hindi poets. Our team daily upload all type of Shayari in this site. You can find your favorite poetry on this blog and share it with your loved ones. We hope you liked our collection. If you liked Tan Badan shayari  in English 2 line Collection, please let us know by commenting below. Android nange badan par shayari for laptop and mobile. Urdu poetry website and all unique sher available here.


Badan Shayari Urdu


 

 

Badan Poetry in Urdu
Badan Poetry in Urdu

Kabhi Kabhar Usē Dēkh Lēn Kahin Mil Lēn
Yē Kab Kaha Tha Ki Wō Khush-Badan Humara Hō
کبھی کبھار اسے دیکھ لیں کہیں مل لیں
یہ کب کہا تھا کہ وہ خوش بدن ہمارا ہو
कभी कभार उसे देख लें कहीं मिल लें
ये कब कहा था कि वो ख़ुश-बदन हमारा हो

 


 

 

 

 

Badan Ki Qurbat Kō Tōh Mil Jaatē Hain Lōg Hazarōn,
Mainē Aik Shaks Kō Chuna Tha Sirf Mōhabbat Kē Liyē

 


 

 

Badan Kē Karb Kō Wō Bhi Samajh Na Payēga
Mai Dil Mai Rōungi Ankhōn Mai Muskuraungi

بدن کے کرب کو وہ بھی سمجھ نہ پائے گا
میں دل میں روؤں گی آنکھوں میں مسکراؤں گی

बदन के कर्ब को वो भी समझ न पाएगा
मैं दिल में रोऊँगी आँखों में मुस्कुराऊँगी

 


 

 

 

badan poetry rekhta
badan poetry rekhta

 

har ēk saaz kō sazindagan nahīn darkar
badan kō zarbat-ē-mizrab sē ilaqa nahīn

 

 


 

 

 

Badan Kē Karb Kō Wōh Bhi Samajh Na Payēga,
Main Dil Sē Rō’ungi Aankhōn Sē Muskuraungi
بدن کے کرب کو وہ بھی سمجھ نہ پائے گا
میں دل سے روؤں گی آنکھوں سے مسکراؤں گی

 

 


 

 

 

uf vō marmar sē tarasha hua shaffaf badan
dēkhnē vaalē usē taj-mahal kahtē hain

 

 


 

 

 

Kabhi Kabhar Usē Dēkh Lēn Kahin Mil Lēn
Yē Kab Kaha Tha Ki Wō Khush-Badan Humara Hō
کبھی کبھار اسے دیکھ لیں کہیں مل لیں
یہ کب کہا تھا کہ وہ خوش بدن ہمارا ہو
कभी कभार उसे देख लें कहीं मिल लें
ये कब कहा था कि वो ख़ुश-बदन हमारा हो

 


Bheega Badan Shayari


 

 

 

badan quotes in urdu
badan quotes in urdu

Chura Kē Tishnagi Uss Kē Badan Ki,
Main Aankhōn Mēin Samandar Ghōlta Hōōn

 

 


 

 

 

bahut lambī masafat hai badan kī
musafir mubtadī thaknē laga hai

 


 

 

badan shayari in hindi
badan shayari in hindi

Rukē tō chaand,chalē tō hawaō jaisa hai,
wō shakash dhōōp mē dēkha tō chaav jaisa hai,
Tu tō gulshan hai mēhkē phulō ka,
mai ēk dasht hu vēērana hi,sach kahu tō bura na manna,
Mai tērē zulm ka nishana hu…

रुके तो चाँद चले तो हवाओ जैसा है
वो शक्श धुप में देखा तो छाँव जैसा है
तू तो गुलशन है महके फूलो का
मै तो दश्त हु वीराना हू
सच कहु तो बुरा ना मानना
मई तेरे जुल्म का निशाना हु…

 


 

 

 

Ab Bhi Barsaat Ki Ratōōn Mai Badan Tutta Hai
Jaag Uthti Hain Ajaab Khawahishain Angrai Ki
اب بھی برسات کی راتوں میں بدن ٹوٹتا ہے
جاگ اٹھتی ہیں عجب خواہشیں انگڑائی کی
अब भी बरसात की रातों में बदन टूटता है
जाग उठती हैं अजब ख़्वाहिशें अंगड़ाई की

 


 

 

 

 

kisī kalī kisī gul mēn kisī chaman mēn nahīn
vō rang hai hī nahīn jō tirē badan mēn nahīn

 

 


 

 

 

Jala Hai Jism Jahan Dil Bhi Jal Gaya Hōga
Kurēdtē Hō Jō Ab Raakh Justuju Kya Hai
جلا ہے جسم جہاں دل بھی جل گیا ہوگا
کریدتے ہو جو اب راکھ جستجو کیا ہے
जला है जिस्म जहाँ दिल भी जल गया होगा
कुरेदते हो जो अब राख जुस्तुजू क्या है

 


 

bheega badan shayari in hindi
bheega badan shayari in hindi

us vaqt jaan pyarē ham pavatē hain jī sa
lagta hai jab badan sē tairē badan hamara

 

 


 

 

 

tujh sa kōī jahan mēn nazuk-badan kahan
yē pankhuḌī sē hōnT yē gul sa badan kahan

 

 

 


 

 

 

 

Jism Chōōnē Sē Mōhabbat Nahi Hōti,
Ishq Wōh Jazba Hai Jissēy Iman Kēhtē Hain

 

 


 

 

 

Husn kō chaand jawani kō kamal kēhtē hai
unki surat nazar aayē tō gazal kēhtē hai..
uff yē sangmarmar ka tarasha hua shafaaq badan
dēkhnē walē usē tajmahal kēhtē hai…

हुस्न को चाँद जवानी को कमल कहते है
उनकी सूरत नज़र आये तो ग़ज़ल कहते
उफ़ ये संगमरमर का तराशा हुआ शफाफ बदन
देखते वाले इसे ताजमहल कहते है…

 

 

 


Romantic Badan Shayari


 

 

 

 

Haseen Badan Poetry
Haseen Badan Poetry

 

mōhabbat kē Thikanē DhūnDhtī hai
badan kī la-makanī mausamōn mēn

 

 


 

 

 

Tamana Tērē Jism Sē Hōti Tōh Duniya Sē Chēēn Lētē,
Ishq Tēri Rōōh Sē Hai Isliyē Tujhē Khuda Sē Mangtē Hain

 

 

 


 

 

 

 

badan kē dōnōn kinarōn sē jal raha huun main
ki chhū raha huun tujhē aur pighal raha huun main

 

 

 


 

 

 

yuun hai Dalak badan kī us pairahan kī tah mēn
surḳhī badan kī jaisē chhalkē badan kī tah mēn

 

 


 

 

 

Hawas shayari In Urdu
Hawas shayari In Urdu

 

 

Chura Kē Tishnagi Uss Kē Badan Ki,
Main Aankhōn Mēin Samandar Ghōlta Hōōn

 

 

 


 

 

 

kaun badan sē aagē dēkhē aurat kō
sab kī ankhēn girvī hain is nagrī mēn

 


 

 

ḳhuda kē vastē gul kō na mērē haath sē lō
mujhē bū aatī hai is mēn kisī badan kī sī

 


 

 

 

Dhōōp Nikli Tōh Mērē Jism Sē Saaya Nikla,
Kisi Karrē Waqt Mēin Apna Bhi Paraaya Nikla

 


poetry On Body in Urdu


 

 

 

Khubsurat badan Shayari
Khubsurat badan Shayari

 

بدن کے دونوں کناروں سے جل رہا ہوں میں
کہ چھو رہا ہوں تجھے اور پگھل رہا ہوں میں

عرفان صدیقی

बदन के दोनों किनारों से जल रहा हूँ मैं
कि छू रहा हूँ तुझे और पिघल रहा हूँ मैं

इरफ़ान सिद्दीक़ी

 

 


 

 

 

gūndh kē gōya pattī gul kī vō tarkīb bana.ī hai
rang badan ka tab dēkhō jab chōlī bhīgē pasīnē mēn

 


 

 

 

 

yaad aatē hain mō.ajazē apnē
aur us kē badan ka jaadū bhī

 


 

 

 

main us kē badan kī muqaddas kitab
nihayat aqīdat sē paḌhta raha

 


 

 

 

nūr-ē-badan sē phailī andhērē mēn chandnī
kapḌē jō us nē shab kō utarē palang par

 


 

 

 

nashila badan shayari
nashila badan shayari

 

 

haa.ē vō us ka mauj-ḳhēz badan
main tō pyasa raha lab-ē-jū bhī

 


 

 

 

 

kya badan hai ki Thaharta hī nahīn ankhōn mēn
bas yahī dēkhta rahta huun ki ab kya hōga

 


 

 

 

 

ruuh kō ruuh sē milnē nahīn dēta hai badan
ḳhair yē biich kī dīvar gira chahtī hai

 


 

 

 

rasta dē ki mōhabbat mēn badan shamil hai
main faqat ruuh nahīn huun mujhē halka na samajh

 


 

 

 

sharm bhī ik tarah kī chōrī hai
vō badan kō chura.ē baiThē hain

 

 


Khubsurat Badan Shayari


 

 

 

 

 

ik buund zahr kē liyē phaila rahē hō haath
dēkhō kabhī ḳhud apnē badan kō nichōḌ kē

 


 

 

 

vō apnē husn kī ḳhairat dēnē vaalē hain
tamam jism kō kaasa bana kē chalna hai

 


 

 

 

rakh dī hai us nē khōl kē ḳhud jism kī kitab
saada varaq pē lē kōī manzar utaar dē

 


 

 

DhūnDta huun main zamīn achchhī sī
yē badan jis mēn utara jaa.ē

 


 

 

magar giraft mēn aata nahīn badan us ka
ḳhayal DhūnDhta rahta hai isti.ara kōī

 


 

 

 

मगर गिरफ़्त में आता नहीं बदन उस का,
ख़याल ढूँढता रहता है इस्तिआरा कोई….
– इरफ़ान सिद्दीकी
Magar giraft mēin aata nahin badan us ka,
Khayaal dhundhta rahta hai istiaara kōi….
– Irfan Siddiqui

 


 

 

 

jī chahta hai haath laga kar bhī dēkh lēn
us ka badan qaba hai ki us kī qaba badan

 


 

 

 

andhērī ratōn mēn dēkh lēna
dikha.ī dēgī badan kī ḳhushbū

 


 

 

main tērī manzil-ē-jan tak pahunch tō sakta hun
magar yē raah badan kī taraf sē aatī hai

 


 

 

 

lagtē hī haath kē jō khīnchē hai ruuh tan sē
kya janēn kya vō shai hai us kē badan kē andar

 

 


Tan Badan Shayari


 

 

 

 

 

kya sabab tērē badan kē garm hōnē ka sajan
ashiqōn mēn kaun jalta tha galē kis kē laga

 


 

 

 

ab dēkhta huun main tō vō asbab hī nahīn
lagta hai rastē mēn kahīn khul gaya badan

 


 

 

kya badan hōga ki jis kē khōltē jaamē ka band
barg-ē-gul kī tarah har naḳhun mō.attar hō gaya

 


 

 

chaman vahī ki jahan par labōn kē phuul khilēn
badan vahī ki jahan raat hō gavara bhī

 


 

 

 

 

kya kya badan-ē-saf nazar aatē hain ham kō
kya kya shikam ō naaf nazar aatē hain ham kō

 


 

 

एक बदन है मेरी निगाह में,
जिसपे होंठों💋 के बल चलुंगा मैं….

ēk Badan Hai Mēri Nigah Mēin,
Jispē Hōthōn💋 Kē Bal Chalunga Main….

 


 

 

yē bē-kanar badan kaun paar kar paaya
bahē chalē ga.ē sab lōg is ravanī mēn

 


 

 

badan pē pairahan-ē-ḳhak kē siva kya hai
mirē alaav mēn ab raakh kē siva kya hai

 


 

 

 

بدن تلوار پر رکھا ہوا ہے
اناالحق دار پر رکھا ہے

تمہارے ہجر کا بھاری پتھر
دل بیمار پر رکھا ہوا ہے

جو اترا تھا کبھی پھولوں کی خاطر
وہ قطرہ خار پر رکھا ہوا ہے

وہ صدیوں کے سفر کا ایک پتھر
مری رفتار پر رکھا ہوا ہے

ابلتا جا رہا ہے خون دل کا
کہ جیسے نار پر رکھا ہوا ہے

مرے اظہار کا سہما سا لہجہ
مرے انکار پر رکھا ہوا ہے

بنے گا کب تلک وہ پھول پتھر
جو دست یار پر رکھا ہے

سیاہی حرف بنتی جا رہی ہے
قلم اخبار پر رکھا ہوا ہے

کبھی تو لوٹ کر آئے گا دشمن
نشانہ وار پر رکھا ہوا ہے

 


 

 

 

بدن میں جیسے لہو تازیانہ ہو گیا ہے
اسے گلے سے لگائے زمانہ ہو گیا ہے

چمک رہا ہے افق تک غبار تیرہ شبی
کوئی چراغ سفر پر روانہ ہو گیا ہے

ہمیں تو خیر بکھرنا ہی تھا کبھی نہ کبھی
ہوائے تازہ کا جھونکا بہانہ ہو گیا ہے

غرض کہ پوچھتے کیا ہو مآل سوختگاں
تمام جلنا جلانا فسانہ ہو گیا ہے

فضائے شوق میں اس کی بساط ہی کیا تھی
پرند اپنے پروں کا نشانہ ہو گیا ہے

کسی نے دیکھے ہیں پت جھڑ میں پھول کھلتے ہوئے
دل اپنی خوش نظری میں دوانہ ہو گیا ہے

Leave a Comment