Adam Shayari / Poetry in Urdu & Hindi gets from here. We have lots of collections of Adam Quotes Urdu in Hindi text,Adam Shayari in Urdu 2 lines, available. Read and copy adam mesage Urdu, SMS /Status in Urdu and English with images and share on social media and Whats App friends.
Adam SMS in Urdu Two-line available here. Our team daily updates Adam poetry in English status Hindi for Human. Best collection of Shayari on Adam in English Hindi text with images download. 2 lines Adam Shayari in English share on Facebook and Instagram.

Baham Hua Karēn Hain Din Raat Nichē Uppar
Yē Narm-Shanē Laundē Hain Makhmal-ē-Khwaba
باہم ہوا کریں ہیں دن رات نیچے اوپر
یہ نرم شانے لونڈے ہیں مخمل دو خوابا
बाहम हुआ करें हैं दिन रात नीचे ऊपर
ये नर्म-शाने लौंडे हैं मख़मल-ए-दो-ख़्वाबा
Adam-ē-Khaki Sē Aalam Kō Jila Hai Warna
Aaina Tha Tō Magar Qabil-ē-Dēēdar Na Tha
آدم خاکی سے عالم کو جلا ہے ورنہ
آئینہ تھا یہ ولے قابل دیدار نہ تھا
आदम-ए-ख़ाकी से आलम को जिला है वर्ना
आईना था ये वले क़ाबिल-ए-दीदार न था

Aaj phir rōōh mēin ēk barq si lahraati hai
Dil ki gēhrai sē rōnē ki sada aati hai
Yun chaTakti hain KHarabaat mēin jaisē kaliyan
Tishnagi saghar-ē-labrēz sē Takraati hai
Shōla-ē-gham ki lapak aur mēra nazuk sa mizaj
Mujh kō fitrat kē rawaiyyē pē hansi aati hai
Maut ēk amr-ē-musallam hai tō phir ai saqi
Rōōh kyun zist kē aalam sē ghabraati hai
Sō bhi ja ai dil-ē-majruh bahut raat gai
Ab tō rah rah kē sitarōn kō bhi nēēnd aati hai
Aur tō dil kō nahi hai kōi taklēēf ‘adam’
Han zara nabz kisi waqt Thahar jati hai
Dēkh kar dil-kashi zamanē ki
Aarzu hai farēb khanē ki
Aē gham-ē-zindagi na hō naraaz
Mujh kō aadat hai muskuranē ki
Zulmatōn sē na Dar ki rastē mēin
Rōshni hai sharab-KHanē ki
Aa tērē gēsuōn kō pyar karun
Raat hai mishalēn jalanē ki
Kis nē saghar ‘adam’ buland kiya
Tham gain gardishēn zamanē ki
Aē Dōst Mōhabbat Kē Sadmē Tanha Hēē Uthanē Partē Hain,
Rahbar Tōh Faqat Is Rastē Mēin Dō Gam Sahaara Dētē Hain
ऐ दोस्त मोहब्बत के सदमे तन्हा ही उठाने पड़ते हैं
रहबर तो फ़क़त इस रस्ते में दो गाम सहारा देते हैं
اے دوست محبت کے صدمے تنہا ہی اٹھانے پڑتے ہیں
رہبر تو فقط اس رستے میں دو گام سہارا دیتے ہیں

‘Adam’ Rōz-ē-ajal Jab Kismatēin Taqsim Hōti Thin,
Muqaddar Ki Jagah Main Saghar-ō-mina Utha Laya
عدمؔ روز اجل جب قسمتیں تقسیم ہوتی تھیں
مقدر کی جگہ میں ساغر و مینا اٹھا لایا
‘
अदम’ रोज़-ए-अजल जब क़िस्मतें तक़्सीम होती थीं
मुक़द्दर की जगह मैं साग़र-ओ-मीना उठा लाया
Aap ēk Zahmat-ē-Nazar Tōh Karēn,
Kaun Bē-hōsh Hō Nahi Sakta
آپ اک زحمت نظر تو کریں
کون بے ہوش ہو نہیں سکتا
आप इक ज़हमत-ए-नज़र तो करें
कौन बेहोश हो नहीं सकता
Aankhōn sē tēri zulf ka saya nahin jata
Aaram jō dēkha hai bhulaya nahin jata
Allah-rē nadan jawani ki umangēn!
Jaisē kōi bazar sajaya nahin jata
Aankhōn sē pilatē rahō saghar mēin na Dalō
Ab hum sē kōi jam uThaya nahin jata
Bōlē kōi hans kar tō chhirak dētē hain jaan bhi
Lēkin kōi ruThē tō manaya nahin jata
Jis tar kō chhērēn wahi fariyaad-ba-lab hai
Ab hum sē ‘adam’ saz bajaya nahin jata
آنکھوں سے تری زلف کا سایہ نہیں جاتا
آرام جو دیکھا ہے بھلایا نہیں جاتا
اللہ رے نادان جوانی کی امنگیں!
جیسے کوئی بازار سجایا نہیں جاتا
آنکھوں سے پلاتے رہو ساغر میں نہ ڈالو
اب ہم سے کوئی جام اٹھایا نہیں جاتا
بولے کوئی ہنس کر تو چھڑک دیتے ہیں جاں بھی
لیکن کوئی روٹھے تو منایا نہیں جاتا
جس تار کو چھیڑیں وہی فریاد بہ لب ہے
اب ہم سے عدمؔ ساز بجایا نہیں جاتا
आँखों से तिरी ज़ुल्फ़ का साया नहीं जाता
आराम जो देखा है भुलाया नहीं जाता
अल्लाह-रे नादान जवानी की उमंगें!
जैसे कोई बाज़ार सजाया नहीं जाता
आँखों से पिलाते रहो साग़र में न डालो
अब हम से कोई जाम उठाया नहीं जाता
बोले कोई हँस कर तो छिड़क देते हैं जाँ भी
लेकिन कोई रूठे तो मनाया नहीं जाता
जिस तार को छेड़ें वही फ़रियाद-ब-लब है
अब हम से ‘अदम’ साज़ बजाया नहीं जाता
Un kō ahd-ē-shabab mēin dēkha
Chandni kō sharab mēin dēkha
Aankh ka Aētbaar kya kartē
Jō bhi dēkha wō Khawab mēin dēkha
Dagh sa mahtab mēin paya
Zakhm sa aftab mēin dēkha
Jam la kar Karib aankhōn kē
Aap nē kuchh sharab mēin dēkha
Kis nē chēra tha saz-ē-masti kō?
Aik shōala rubab mēin dēkha
Lōg kuchh mutmain bhi thay phir bhi
Jis kō dēkha azab mēin dēkha
Hijr ki raat sō gaē thē ‘adam’
Subh-ē-mahshar kō Khawab mēin dēkha
Aadmi Jaan Kē Khaata Hai Mōhabbat Mēin Farēb,
Khud Farēbi Hēē Mōhabbat Ka Sila Hō Jaisē
Adam Shayari in Urdu
Ji Chahta Hai Aaj Adam Unkō Chēriyē,
Darr Darr Kē Pyar Karnē Mēin Kōi Maza Nahi
جی چاہتا ہے آج آدم اُن کو چھرئیے
ڈر ڈر کے پیار کرنے میں کوئی مزہ نہیں
Adam Poetry in Urdu