Ajeeb Shayari / Poetry in Urdu text and Hindi is available here. Get a unique collection of daily aajeeb shayari status image quotes in English. Zindagi Ajeeb hai Quotes 2 line SMS from here. We hope you like Ajeeb poetry in Hindi words Shayari in Hindi, Urdu & English. if you want more ajeeb log quotes in Urdu in Hindi rekhta and poetry in English and go down and click related post
Ajeeb zindagi poetry in Urdu images and hindi SMS Shayari quotes and status uploaded on Facebook and Instagram. Find Here the Top collection of Urdu and Hindi poets. Our team daily upload all type of Shayari in this site. You can find your favorite poetry on this site and share it with your loved ones. We hope you enjoyed our collection. If you liked ajeeb shayari in Hindi 2 line Collection, please let us know by commenting below.

Kadmōn Mai Bhi Takan Thi Ghar Bhi Kareeb Tha
Par Kya Karen K Ab K Safar Hi Ajeeb Tha
قدموں میں بھی تکان تھی گھر بھی قریب تھا
پر کیا کریں کہ اب کے سفر ہی عجیب تھا
क़दमों में भी तकान थी घर भी क़रीब था
पर क्या करें कि अब के सफ़र ही अजीब था
Mumkina Faislōn Mai Ek Hijr Ka Faisla Bhi Tha
Hum Ne Tō Ek Baat Ki Us Ne Kamal Kar Diya
ممکنہ فیصلوں میں ایک ہجر کا فیصلہ بھی تھا
ہم نے تو ایک بات کی اس نے کمال کر دیا
मुमकिना फ़ैसलों में एक हिज्र का फ़ैसला भी था
हम ने तो एक बात की उस ने कमाल कर दिया
Yeh Ishq e Mōhabbat Ki Riwayat Bhi Ajeeb Hai,
Paaya Nahi Hai Jiskō Ussey Khōna Bhi Nahi Chahte
Larkiyōn Ke Dukh Ajab Hōte Hain Sukh Us Se Ajeeb
Hans Rahi Hain Aur Kajal Bhejta Hai Sath Sath
لڑکیوں کے دکھ عجب ہوتے ہیں سکھ اس سے عجیب
ہنس رہی ہیں اور کاجل بھیگتا ہے ساتھ ساتھ
लड़कियों के दुख अजब होते हैं सुख उस से अजीब
हँस रही हैं और काजल भीगता है साथ साथ
Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Safar Nikla
Saare Jahan Ka Dard Apna Muqaddar Nikla,
Jiske Naam Apni Zindagi Ka Har Lamha Kar Diya
Afsōs Wōhi Hamari Chahat Se Bekhabar Nikla
Hawas-e-Gul Ke Tasawar Mai Bhi Khatka Na Raha
Ajab Aram Diya Be-Par-ō-Bali Ne Mujhe
ہوس گل کے تصور میں بھی کھٹکا نہ رہا
عجب آرام دیا بے پر و بالی نے مجھے
हवस-ए-गुल के तसव्वुर में भी खटका न रहा
अजब आराम दिया बे-पर-ओ-बाली ने मुझे
Sirf Tumhare Hath Ki Chai,
Sar Dard Bhi Ajeeb Zid Liye Betha Hai
Ajeeb Haal Mein Pōhanch Gayi Hai Zindagi,
Ab Na Tōh Kōi Ajnabi Raha Na Kōi Apna
Maathey Pe Shikan Na Hō Tōh Kya Hō,
Ajeeb Lōg Hain Ajeeb Nazarōn Se Dekhte Hain
Ajeeb Si Mōhabbat Hai Meri Bhi,
Larte Bhi Tum Se Hain Marte Bhi Tum Per Hain
Wōhi Ranjishein, Wōhi Hasratein, Na Hee Dard e Dil Mein Kami Huyi
Hai Ajeeb Si Meri Zindagi, Na Guzar Saki Na Khatam Huyi
Razaye Yaar Pe Khwahish Kō Waarne Wale,
Ajab Sakhi Hain Mōhabbat Mein Haarne Wale
رضائے یار پہ خواہش کو وارنے والے
عجب سخی ہیں محبت میں ہارنے والے
Ajeeb Duniya Hai Kōi Chahat Ki Baat Karta Hai Aur Kōi Chahne Ki,
Hum Tōh Dōnō Azmaa Chuke, Na Chahat Mili Na Chahne Wala
Silsila e Chahat Tōh Dōnō Ka Ajab Tha Ae Dōst,
Wōh Meri Jaan Chahta Tha Aur Main Jaan Se Zyaada Ussey
Mōhabbat Bhi Ajab Shae Hai Ke Jab Baazi Pe Aati Hai,
Tōh Sab Kuch Jeet Leti Hai, Ya Sab Kuch Haar Deti Hai
ajeeb shaks tha kaisa mizaj rakhta tha sath rah kar bhi ikhtilaf rakhta tha mai kiu na dad du us kay fun ki mre hr swal ka phly hi jwab rakhta tha … wō tō rōshniō ka basi tha mgr meri andher nagri ka bara hi khyal rkta tha MōHABAT tō thi ussy ksi ōr se shyd hum se tō u hi hansi mazak rakhta tha!!!
Teri Baatōn Mein Zikr Uska Meri Baatōn Mein Zikr Tera,
Ajab Ishq Hai Mōhsin Na Tu Mera Na Wōh Tera
Ajeeb Saneha Guzra Hai Mujh Pe Aj Ki ShaamMain Aj Sham Tumhare Hijr Mein Udas Na ThaAb Ek Saal Tu Yeh Ek Ghum Hi Kafi HaiTumhari Salgirah Par Tumhare Pass Na Tha..?
Kitni Ajeeb Thi Dastaan e Mōhabbat,
Ke Aik Aankh Samundar Aur Dusri Pyaasi Thi
کتنی عجیب تھی داستان محبت
کہ ایک آنکھ سمندر اور دوسری پیاسی تھی
Mere Ajeeb Sawalōn Ka Aik Tōh Faida Hua,
Pata Chala K Ussey Muskurana Bhi Aata Hai
Zindagi Ka Falsafa Bhi Kitna Ajeeb Hai,
Shaam Katti Nahi Aur Saal Guzarte Chale Jaa Rahe Hain
Gaye Dinō Ki Aziz Baatein Nigaar Sab Hee, Gulab Raatein
Besaate Dil Bhi Ajeeb Shae Hai Hazar Jeetien, Hazar Maatein
Hum Lōg Bhi Kitne Ajeeb Hain,
Nishaniyan Mehfōz Rakhte Hain Aur Lōgōn Kō Khōō Dete Hain
Ajeeb Hai Teri Yaad Ka Silsila Bhi,
Kabhi Aik Pal Kabhi Pal Pal Kabhi Har Pal