Bahar shayari / Poetry in Urdu & Hindi gets from here. We have lots of unique collections of bahar shayari In Urdu for friends in Hindi Quotes in Hindi text. Bahar Status available. Read and copy Ghazal on bahar quotes in Urdu message Urdu, SMS /Status in Hindi and English with images and share on social media and What’s App friends.
Bahar shayari in Urdu text for girlfriend/boyfriend in Hindi SMS and poetry quotes and status uploaded on Facebook and Instagram. Find Here the latest collection of Urdu and Hindi poets. Our team daily upload all type of Shayari in this site. You can find your favorite poetry on this blog and share it with your loved ones. We hope you liked our collection. If you liked Bahar shayari in English 2 line Collection, please let us know by commenting below. Android Bahar poetry for laptop and mobile. Urdu poetry website and all unique sher available here.
Bahar Shayari Urdu

l
utf-ē-bahar kuchh nahin gō hai vahi bahar
dil hi ujaḌ gaya ki zamana ujaḌ gaya
yē sōchtē hi rahē aur bahar ḳhatm hui
kahan chaman mēn nashēman banē kahan na banē
tinkōn sē khēltē hi rahē ashiyan mēn ham
aaya bhi aur gaya bhi zamana bahar ka
Baharian jes shakhion sy Gawahe manghti thee
wahi mosam humy ab be sumer q laghta hian
Raat yun dil mēin tiri khōi hui yaad aai
Jaisē viranē min chupkē sē bahar aa jayē
رات یوں دل میں تری کھوئی ہوئی یاد آئی
جیسے ویرانے میں چپکے سے بہار آ جائے
रात यूँ दिल में तिरी खोई हुई याद आई
जैसे वीराने में चुपके से बहार आ जाए
jab sē chhūTa hai gulistan ham sē
rōz suntē hain bahar aa.i hai
Urdu Shayari Mausam e Bahar

main nē dēkha hai baharōnmēn chaman kō jaltē
hai kōi ḳhvab ki tabir batanē vaala
mujh kō ēhsas-ē-rang-ō-bū na hua
yuun bhi akasr bahar aa.i hai
Na gul khilē hain na un sē milē na mai pi hai
ajiib rang mēin ab kē bahar guzri hai
نہ گل کھلے ہیں نہ ان سے ملے نہ مے پی ہے
عجیب رنگ میں اب کے بہار گزری ہے
न गुल खिले हैं न उन से मिले न मय पी है
अजीब रंग में अब के बहार गुज़री है
tērē qurban ‘qamar’ munh sar-ē-gulzar na khōl
sadqē us chand si sūrat pē na hō jaa.ē bahar
ai dil-ē-bē-qarar chup hō ja
ja chuki hai bahar chup hō ja

Gulōn mēin rang bharē bad-ē-nau-bahar chalē
Chalē bhi aaō ki gulshan ka karōbar chalē
گلوں میں رنگ بھرے باد نوبہار چلے
چلے بھی آؤ کہ گلشن کا کاروبار چلے
गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले
चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले
ḳhizan ka bhēs bana kar bahar nē maara
mujhē dō-rangi-ē-lail-ō-nahar nē maara
miri zindagi pē na muskura mujhē zindagi ka alam nahin
jisē tērē ġham sē hō vasta vō ḳhizan bahar sē kam nahin
Kuch Karō Fikar Mujh Dēēwanē Ki
Dhum Hai Phir Bahar Aanē Ki
کچھ کرو فکر مجھ دیوانے کی
دھوم ہے پھر بہار آنے کی
कुछ करो फ़िक्र मुझ दीवाने की
धूम है फिर बहार आने की

ai ḳhizan bhaag ja chaman sē shitab
varna fauj-ē-bahar aavē hai
bahar aa.ē tō mēra salam kah dēna
mujhē tō aaj talab kar liya hai sahra nē
ḳhushi kē phuul khilē thē tumharē saath kabhi
phir is kē ba.ad na aaya bahar ka mausam
Bal-ō-Par Bhi Gayē Bahar K Sath
Ab Tavaqqōa Nahi Rēhai ki
بال و پر بھی گئے بہار کے ساتھ
اب توقع نہیں رہائی کی
बाल-ओ-पर भी गए बहार के साथ
अब तवक़्क़ो नहीं रिहाई की
kahiyō saba salam hamara bahar sē
ham tō chaman kō chhōḌ kē sū-ē-qafas chalē
mēri ankhōn mēn hain aansū tērē daman mēn bahar
gul bana sakta hai tū shabnam bana sakta huun main
Sōō Baar Chaman Mēhaka, Sōō Baar Bahar Aayi
Duniya Ki Wōhi Rōnaq, Dil Ki Wōhi Tanhayi
سو بار چمن مہکا، سو بار بہار آئی
دنیا کی وہی رونق، دل کی وہی تنہائی
miri bahar mēn aalam ḳhizan ka rahta hai
hua jō vasl tō khaTka raha juda.i ka
Sainkarōn Dilkash Baharēin Thiēn Hamari Muntazir,
Hum Tēri Khwahish Mēin Lēkin Thōkrain Khatē Rahē

shaḳhōn sē barg-ē-gul nahin jhaḌtē hain baaġh mēn
zēvar utar raha hai urūs-ē-bahar ka
Jab Tēra Dard Mērē Sath Wafa Karta Hai
ēk Samundar Mēri Aankhōn Sē Baha Karta Ha,
Jab Khizan Aayi Tōh Laut Aayē Ga Wōh Bhi Faraz
Wōh Baharōn Mēin Zara Kam Mila Karta Hai
baharōn ki nazar mēn phuul aur kanTē barabar hain
mōhabbat kya karēngē dōst dushman dēkhnē vaalē
haguftagi-ē-dil-ē-karvan kō kya samjhē
vō ik nigah jō uljhi hui bahar mēn hai
Tēri Surat Sē Hai Aalam Mēin Baharōn Kō Sabaat,
Tēri Aankhōn Kē Siwa Duniya Mēin Rakha Kya Hai
تیری صورت سے ہے عالم میں بہاروں کو ثبات
تیری آنکھوں کے سوا دنیا میں رکھا کیا ہے
us kō ḳhizan kē aanē ka kya ranj kya qalaq
rōtē kaTa hō jis kō zamana bahar ka
Bēthēy Hain Aēsē Zulf Mēin Kaliyan Sanwar K,
Aayēin Hōn Jaisē Unkē Liyē Din Bahar K
bahar aa.i ki din hōli kē aa.ē
gulōn mēn rang khēla ja raha hai
afsurdagi bhi husn hai tabindagi bhi husn
ham kō ḳhizan nē tum kō sanvara bahar nē
aaj hai vō bahar ka mausam
phuul tōḌūn tō haath jaam aa.ē
Kahēin Tō Phōōlōn K Har Hō Tum
Kahēin Chaman Ki Bahar Hō Tum
Kahēin Tō Lēhrōn Ki Mauj Main Hō
Kahēin Tō Nadiōn K Paar Hō Tum
Q Itnē Gum Sum Udaas Q Hō
K Maikashi Ka Khumaar Hō Tum
Kabhē Raqēēbōn Sē Jō Hans Baithō
Jigar Main Phir Chubhta Khar Hō Tum
Tum Jō Bōlō Muskaraa K
Aah Ki Khusian Hazaar Hō Tum
ajab bahar dikha.i lahū kē chhinTōn nē
ḳhizan ka rang bhi rang-ē-bahar jaisa tha
Tuk dēkh lēn chaman kō chalō lala-zar tak
kya jaanē phir ji.ēn na ji.ēn ham bahar tak
jō thi bahar tō gaatē rahē bahar ka raag
ḳhizan jō aa.i tō ham hō ga.ē ḳhizan ki taraf