Banjara shayari / Poetry in Urdu & Hindi gets from here. We have lots of unique collections of banjara nama In Urdu for friends in Hindi Quotes in Hindi text. Banjara poem in hindi available. Read and copy Ghazal on banjara quotes in Urdu message Urdu, SMS /Status in Hindi and English with images and share on social media and What’s App friends.
banjara status download in Urdu text for girlfriend/boyfriend in Hindi SMS and poetry quotes and status uploaded on Facebook and Instagram. Find Here the latest collection of Urdu and Hindi poets. Our team daily upload all type of Shayari in this site. You can find your favorite poetry on this blog and share it with your loved ones. We hope you liked our collection. If you liked banjara shayari in English 2 line Collection, please let us know by commenting below. Android बंजारा शायरी for laptop and mobile. Urdu poetry website and all unique sher available here.
Banjara Shayari in Urdu

Kisi Shayar Ki Ghazal Jō Dē Rōōh Kō Sukōōn Kē Pal,
Kōi Mujhkō Yun Mila Hai Jaisē Banjaarē Kō Ghar
Nayē Mausam Ki Sēhēr Jaisē Sard Mēin Dōpahar,
Kōi Mujhkō Yun Mila Hai Jaisē Banjarē Kō Ghar
banjara shayari
Banjara-Nama
Tuk hirs-ō-hava kō chhōd miyan mat dēs bidēs phirē maara
qazzaq ajal ka luuTē hai din raat baja kar naqqara
kya badhiya bhainsa bail shutur kya gū mēn palla sar-bhara
kya gēhūn chanval mōTh maTar kya aag dhuan aur angara
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
gar tō hai lakkhī banjara aur khēp bhī tērī bharī hai
ai ġhafil tujh sē bhī chadhta ik aur bada biyōparī hai
kya shakkar misrī qand garī kya sanbhar mīTha kharī hai
kya daakh munaqqa sōnTh mirach kya kīsar laung suparī hai
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
tū badhiya laadē bail bharē jō pūrab pachchham javēga
ya suud badha kar lavēga ya TuuTa ghaTa pavēga
qazzaq ajal ka rastē mēn jab bhala maar giravēga
dhan daulat naatī pōta kya ik kumba kaam na avēga
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
har manzil mēn ab saath tirē yē jitna Dēra-DanDa hai
zar dam-diram ka bhanDa hai bandūq sipar aur khanDa hai
jab nayak tan ka nikal gaya jō mulkōn mulkōn hanDa hai
phir hanDa hai na bhanDa hai na halva hai na manDa hai
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
jab chaltē chaltē rastē mēn yē gaun tirī rah javēgī
ik badhiya tērī miTTī par phir ghaas na charnē avēgī
yē khēp jō tū nē laadī hai sab hissōn mēn baT javēgī
dhī puut janva.ī bēTa kya banjaran paas na avēgī
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
yē khēp bharē jō jaata hai yē khēp miyan mat gin apnī
ab kōī ghadī pal saa.at mēn yē khēp badan kī hai kafanī
kya thaal kaTōrī chandī kī kya pītal kī Dibya-Dhaknī
kya bartan sōnē chandī kē kya miTTī kī hanDiya chīnī
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalē ga banjara
yē dhūm-dhadkka saath liyē kyuun phirta hai jangal jangal
ik tinka saath na javēga mauqūf hua jab ann aur jal
ghar-bar aTarī chauparī kya ḳhasa nain-sukh aur malmal
chalvan pardē farsh na.ē kya laal palang aur rang-mahal
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
kuchh kaam na avēga tērē yē lal-ō-zamurrad sīm-ō-zar
jab pūnjī baaT mēn bikhrēgī har aan banēgī jaan uupar
naubat naqqarē baan nishan daulat hashmat faujēn lashkar
kya masnad takiya mulk makan kya chaukī kursī taḳht chhatar
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
kyuun jī par bōjh uThata hai in gaunōn bharī bharī kē
jab maut ka Dēra aan pada phir duunē hain bayōparī kē
kya saaz jada.ū zar-zēvar kya gōTē thaan kanarī kē
kya ghōdē ziin sunahrī kē kya hathī laal amarī kē
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
mafrūr na hō talvarōn par mat phuul bharōsē Dhalōn kē
sab paTTa tōd kē bhagēngē munh dēkh ajal kē bhalōn kē
kya Dabbē mōtī hīrōn kē kya Dhēr ḳhazanē malōn kē
kya buġhchē taash mōshajjar kē kya taḳhtē shaal dōshalōn kē
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
kya saḳht makan banvata hai ḳham tērē tan ka hai pōla
tū ūnchē cōat uThata hai vaan gōr gadhē nē munh khōla
kya rēnī ḳhandaq rand badē kya brij kangōra anmōla
gad.h cōat rahkalla tōp qila kya shīsha daarū aur gōla
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
har aan naf.a aur TōTē mēn kyuun marta phirta hai ban ban
Tak ġhafil dil mēn sōch zara hai saath laga tērē dushman
kya launDī bandī daa.ī dava kya banda chēla nēk-chalan
kya mandar masjid taal kuaan kya khētī baadī phuul chaman
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
jab marg phira kar chabuk kō yē bail badan ka hankēga
kōī naaj samēTēga tēra kōī gaun siyē aur Tankēga
hō Dhēr akēla jangal mēn tū ḳhaak lahad kī phankēga
us jangal mēn phir aah ‘nazīr’ ik tinka aan na jhankēga
sab ThaTh pada rah javēga jab laad chalēga banjara
Main Banjara
waqt kē kitnē shahrōn sē guzra hun
lēkin
waqt kē is ēk shahr sē jatē jatē muD kē dēkh raha hun
sōch raha hun
tum sē mēra yē nata bhi TuT raha hai
tum nē mujh kō chhōDa tha jis shahr mēin aa kar
waqt ka ab wō shahr bhi mujh sē chhuT raha hai
mujh kō widaa karnē aaē hain
is nagri kē sarē basi
wō sarē din
jin kē kandhē par sōti hai
ab bhi tumhaari zulf ki KHushbu
sarē lamhē
jin kē mathē par raushan
ab bhi tumhaarē lams ka Tika
nam aankhōn sē
gum-sum mujh kō dēkh rahē hain
mujh kō in kē dukh ka pata hai
in kō mērē gham ki KHabar hai
lēkin mujh kō hukm-ē-safar hai
jaana hōga
waqt kē aglē shahr mujhē ab jaana hōga
waqt kē aglē shahr kē sarē bashindē
sab din sab raatēn
jō tum sē na-waqif hōngē
wō kab mēri baat sunēngē
mujh sē kahēngē
jaō apni rah lō rahi
hum kō kitnē kaam paDē hain
jō biti sō bit gai
ab wō baatēn kyun dōhraatē hō
kandhē par yē jhōli rakkhē
kyun phirtē hō kya patē hō
main bē-chaara
ēk banjara
aawara phirtē phirtē jab thak jaunga
tanhai kē Tilē par ja kar baiThunga
phir jaisē pahchan kē mujh kō
ēk banjara jaan kē mujh kō
waqt kē aglē shahr kē sarē nanhē-munnē bhōlē lamhē
nangē panw
dauDē dauDē bhagē bhagē aa jaēngē
mujh kō ghēr kē baiThēngē
aur mujh sē kahēngē
kyun banjarē
tum tō waqt kē kitnē shahrōn sē guzrē hō
un shahrōn ki kōi kahani hamēin sunaō
un sē kahunga
nanhē lamhō!
ēk thi rani
sun kē kahani
sarē nanhē lamhē
ghamgin hō kar mujh sē yē puchhēngē
tum kyun in kē shahr na aain
lēkin un kō bahla lunga
un sē kahunga
yē mat puchhō
aankhēn mundō
aur yē sōchō
tum hōtin tō kaisa hōta
tum yē kahtin
tum wō kahtin
tum is baat pē hairan hōtin
tum us baat pē kitni hanstin
tum hōtin tō aisa hōta
tum hōtin tō waisa hōta
dhirē dhirē
mērē sarē nanhē lamhē
sō jaēngē
aur main
phir haulē sē uTh kar
apni yaadōn ki jhōli kandhē par rakh kar
phir chal dunga
waqt kē aglē shahr ki jaanib
nanhē lamhōn kō samjhanē
bhulē lamhōn kō bahlanē
yahi kahani phir dōhranē
tum hōtin tō aisa hōta
tum hōtin tō waisa hōta
[/su_box]