Bimar Shayari / Poetry in Urdu & Hindi gets from here. We have lots of unique collections of Bimar Shayari in Hindi images for friends Quotes in Hindi text. Bimar Status available. Read and copy Ghazal on Bimar quotes in Urdu message Urdu, SMS /Status in Hindi and English with images and share on social media and What’s App friends.
Bimar poetry Urdu sms text for girlfriend/boyfriend in Hindi SMS and poetry quotes and status uploaded on Facebook and Instagram. Find Here the latest collection of Urdu and Hindi poets. Our team daily upload all type of Shayari in this site. You can find your favorite poetry on this blog and share it with your loved ones. We hope you liked our collection. If you liked Bimar Shayari in English 2 line Collection, please let us know by commenting below. Android Bimar for laptop and mobile. Urdu poetry website and all unique sher available here.

Tadbir Mērē Ishq Ki Kya Faida Tabib
Ab Jaan Hi K Sath Yē Azar Jayēēga
تدبیر میرے عشق کی کیا فائدہ طبیب
اب جان ہی کے ساتھ یہ آزار جائے گا
तदबीर मेरे इश्क़ की क्या फ़ाएदा तबीब
अब जान ही के साथ ये आज़ार जाएगा

Bē-dam huē bimar dava kyuun nahin dētē
Tum achchē masiha hō shifa kyun nahin dētē
بے دم ہوئے بیمار دوا کیوں نہیں دیتے
تم اچھے مسیحا ہو شفا کیوں نہیں دیتے
बे-दम हुए बीमार दवा क्यूँ नहीं देते
तुम अच्छे मसीहा हो शिफ़ा क्यूँ नहीं देते
Yē Jō Chēhrē Sē Tumhēn Lagtē Hain Bimar Sē Hum
Khōb Rōyē Hain Lipat Kar Dar-ō-Dēēwar Sē Hum
یہ جو چہرے سے تمہیں لگتے ہیں بیمار سے ہم
خوب روئے ہیں لیپٹ کر در و دیوار سے ہم

Marg Ik Mandgi Ka Waqfa Hai
Yaani Aagē Chalēngē Dam Lē Kar
مرگ اک ماندگی کا وقفہ ہے
یعنی آگے چلیں گے دم لے کر
मर्ग इक माँदगी का वक़्फ़ा है
यानी आगे चलेंगे दम ले कर
Jin Jin Kō Tha Yē Ishq Ka Azar Mar Gayē
Aksar Humarē Sath K Bimar Mar Gayē
جن جن کو تھا یہ عشق کا آزار مر گئے
اکثر ہمارے ساتھ کے بیمار مر گئے
जिन जिन को था ये इश्क़ का आज़ार मर गए
अक्सर हमारे साथ के बीमार मर गए

Un Kē Dēkhē Sē Jō Aa Jaati Hai Munh Par Rōnaq
Wō Samajhtē Hain K Bimar KA Haal Achaa Hai
ان کے دیکھے سے جو آ جاتی ہے منہ پر رونق
وہ سمجھتے ہیں کہ بیمار کا حال اچھا ہے
उन के देखे से जो आ जाती है मुँह पर रौनक़
वो समझते हैं कि बीमार का हाल अच्छा है
Nahi Hōta Kisi Tabib Sē Is Marz Ka Ilaaj Wasi
Ishq Laa Ilaaj Hai, Bas Parhēēz Kijiyē
نہیں ھوتا کسی طبیب سے اس مرض کا علاج وصی
عـــشـــق لا عــلاج ھـــــے ، بس پــــرہــیــز کیجیے

Bēhissi Shart Hai Jēēnē Kē Liyē,
Aur Hum Kō ēhsas Ki Bimari Hai
بے حسی شرط ہے جینے کے لیے
اور ہم کو احساس کی بیماری ہے
Yēh Marēēz ē Ishq Ka Haal Hai
Kē Yēh Zindagi Bhi Wabaal Hai,
Kabhi Dard Hai Tōh Dawa Nahi
Jō Dawa Mili Tōh Shifa Nahi

Kya Khaak Tarakki Ki Aaj Ki Duniya Nē,
Marēēz ē Ishq Tōh Aaj Bhi La Ilaaj Bēthē Hain
Sunō Sahab Mōhabbat Dard ē Dil Ki Aēsi Dawa Hai,
Agar Mil Jayē Tōh Marz Khatam Na Milē Tōh Marēēz Khatam

Yaad Mēhbōōb Ki Aur Sardi Urōōj Ki,
Dēkhtē Hain Aaj Humēin Kaun Bimar Karta Hai
Kabhi Iss Dard Sē Guzarō Tōh Yēh Malōōm Hō Tum Kō,
Mōhabbat Wōh Bēēmari Hai Jō Dil Ka Khōōn Pēēti Hai
apnaa biimaar hai dil ishq kaa biimaar nahii.n
KHud tashaffii kē sivaa hijr kaa aazaar nahii.n
NASHTAR KHAANQAHI

aap ‘biimaar’ ham hu.ē rusvaa
sar-niguu.n raazdaar hai kis kaa
SHēIKH BIMAR ALI BAKHSH
biimaar kō maraz kii davaa dēnii chaahiyē
mai.n piinaa chaahtaa huu.n pilaa dēnii chaahiyē
RAHAT INDōRI
zindagii biimaar hō kar rah ga.ii
saaya-ē-diivaar hō kar rah ga.ii
KHUSHTAR MAKRANVI

Yē Bhi Bimar ē Ishaq Hai Wō Bhi Bimar ē Ishq Hai
Jahan Bhi Daikh Us Taraf Ghard ō Ghubar ē Ishaq Hai
Nahin Ishaq Kō Yahan Mantē Nahin Ishaq Kō Yahan Jantē
Phir Bhi Kuch Aisa Hal Hai Sub Par Khumar ē Ishaq Hai
us nargis-ē-‘biimaar’ sē rakhtē hai.n shabaahat
hargiz suu-ē-ab.har bhii ishaaraa na karē.ngē
SHēIKH BIMAR ALI BAKHSH
parhēz tap-ē-hijr sē hai tujh kō jō ai dil
tuu aur bhii aagē kabhii biimaar pa.Daa hai
LALA MADHAV RAM JAUHAR
shaam-ē-Gam biimaar kē dil par vō ban aa.ii ki bas
har taraf taariikiyaa.n aur aisii tanhaa.ii ki bas
RAHI SHAHABI

aaj bēchain hai biimaar KHudaa KHair karē
yaad aataa hai ruKH-ē-yaar KHudaa KHair karē
SIDDIQ AHMAD NIZAMI
hōtii nahii.n biimaar-ē-mōhabbat kō shifaa bhii
yē dard hu.aa kartaa hai KHud apnii davaa bhii
QAMAR USMANI
har shaKHs yahaa.n mujh kō biimaar saa lagtaa hai
is shahr mē.n ab jiinaa aazaar saa lagtaa hai
HAFēēZ SHAHID
aisē bīmār kī davā kyā hai
jō batātā nahīñ huā kyā hai
kaun suntā hai is zamānē mēñ
kis sē kahiyē ki iltijā kyā hai
lab-ē-bīmār thartharātē haiñ
jhuk kē suniyē zarā duā kyā hai
mujh kō jō dēkhtā hai rōtā hai
kōī kyā jaanē mājrā kyā hai
hazrat-ē-ḳhizr bhī batā na sakē
zindagānī kā mudda.ā kyā hai
dard par dūsrōñ kē hans dēnā
yē bhī achchhā hai tō burā kyā hai
faḳhr-ē-ḳhātūn-ē-hind hai ‘ismat’
ham sē pūchhē kōī vafā kyā hai
dard bē-rahm hai
jallad hai dard
dard kuchh kahta nahin
sunta nahin
dard bas hōta hai
dard ka mara hua
raunda hua
jism tō ab haar gaya
ruh ziddi hai
ladē jati hai
hanpti
kanpti
ghabrai hui
dard kē zōr sē
tharrai hui
jism sē lipti hai
kahti hai
nahin chhōdungi
maut
chaukhat pē khadi hai kab sē
sabr sē dēkh rahi hai us kō
aaj ki raat
na jaanē kya hō
Bimar kō maraz ki dawa dēni chahiyē,
Main pina chahta hun pila dēni chahiyē.
Allah barkatōn sē nawazēga ishq mēin,
Hai jitni punji pas laga dēni chahiyē.
Dil bhi kisi faqir kē hujrē sē kam nahi,
Duniya yahin pē la kē chhupa dēni chahiyē.
Main khud bhi karna chahta hun apna samna,
Tujh kō bhi ab naqab utha dēni chahiyē.
Main phōōl hun tō phōōl kō gul-dan hō nasib,
Main aag hun tō aag bujha dēni chahiyē.
Main taj hun tō taj kō sar par sajayēn lōg,
Main khak hun tō khak uda dēni chahiyē.
Main jabr hun tō jabr ki taid band hō,
Main sabr hun tō mujh kō dua dēni chahiyē.
Main khwab hun tō khwab sē chaunkaiyē mujhē,
Main nind hun tō nind uda dēni chahiyē.
Sach baat kaun hai jō sar-ē-am kah sakē,
Main kah raha hun mujh kō saza dēni chahiyē. !!