Bint e Hawa Shayari / Poetry in Urdu & Hindi gets from here. We have more then thousand of latest collections of Bint e Hawa poetry in Urdu sms for girlfriend Quotes in Hindi text. Bint e Hawa Status available. Read and copy Ghazal on Bint e Hawa quotes in Hindi message, SMS /Status in Hindi and English with images and share on social media and with What’s App friends.
Bint e Hawa shayari in Urdu text for girlfriend/boyfriend in Hindi SMS and quotes / status uploaded on Facebook and Instagram. Find Here the latest collection of Urdu and Hindi poets. Our team man daily upload all type of Shayari in this site. You can find your favorite poetry on this blog and share it with your loved ones. We hope you liked our collection. If you liked Bint e Hawa shayari in English 2 line Collection, please let us know by commenting below. Android بنت حوا poetry for laptop and mobile. Urdu poetry website and all unique sher available here.

Bint-E-Hawa nay Khōl Rakhy hain Bazar-E-Gunah
Ibn-E-Adam hai Kharidar KhUDA Kher karay.

Tareekh Mein Qissay Tōh Husn e Yōusuf Ke Hain,
Phir Yeh Bint e Hawa Kis Baat Pe Itrati Hai
تاریخ میں قصے تو حسنِ یوسف کے ہیں
پھر یہ بنتِ حوا کس بات پہ اتراتی ہے

Bint-e Hawa K Narm Lehje Ne
Ibn e Adam Bigar Rakhy Hain

Mōhabbatōn Ke Asaas Lehje, Haqeeqatōn Ke Akas Lehje
Ae Binte Hawa Sambhal Ke Rehna Fareb Hain Yeh Meethas Lehje

bint-e-havvā huun main aurat hai mirā ism-e-sharif
hai ye pahchān miri aur yahi hai tārif
mujh kō hai faḳhr ki us qaum se nisbat hai miri
fātima mariyam-ō-sitā si hain rahbar jis ki
main bhi ashraf huun nigāhōn men ḳhudā ki mere
meri tō gōd men khele hain masihā kitne
kitne valiyōn ne mire haath ki rōTi khaa.i
kitne shāhōn ne mire paanv men jannat paa.i
main hi patthar ke makānōn kō banāti ghar huun
main hi duniyā-e-mōhabbat kā hasin mehvar huun
mere ausāf gināne kō ye kāġhaz kam hain
sinf-e-nāzuk huun magar ruuh miri rustam hai
main ne jazbōn kā tasadduq va bharam rakkhā hai
meri hi zaat se mansūb har ik rishta hai
maan bahan huun kabhi biivi tō kabhi beTi huun
kōi kirdār hō mardōn se vafā karti huun
haan magar shart-e-vafā ye hai ki pā.ūn bhi vafā
main bhi insān huun kamtar nahin rutba merā
aur rishtōn se alag bhi hai miri ik hasti
jō faqat ghar men hi mahdūd nahin rah sakti
ġhuncha-ō-gul se bhi kab chāhiye tashbih mujhe
husn-e-sirat se mire dijiye tarjih mujhe
meri zulfōn mire kājal ki na bāten kariye
kuchh mire zauq-ō-zehānat kō bhi achchhā kahiye
haisiyat hō nahin sakti nazar-andāz miri
rōk saktā nahin ab kōi bhi parvāz miri
āsmān kyā hai ḳhalā tak hai rasā.i meri
azm de saktā hai ḳhud baḌh ke gavāhi meri
be-nazir indarā aur kalpanā aur hiir huun main
apne har ḳhvāb ki ab jāgti ta.abir huun main
merā hargiz nahin kahnā mujhe bartar samjhen
mard hazrāt mujhe sirf barābar samjhen
main chalūn shāna-ba-shāna tō burā mat mānen
meri hurmat meri azmat kō zarā pahchānen
bint-e-havvā huun ‘hinā’ baat baḌi hai meri
naam aurat hai mirā zaat baḌi hai meri
