We have available 2 line duniya poetry in Hindi and Urdu available. Get here duniya status with two lines images. Dunia Shayari دنیا شاعری SMS in Urdu 2 line share on WhatsApp status .Our team daily update latest Shayari for poetry lover. Good afternoon wishes in Urdu copy and paste on Facebook and Instagram.
Duniya shayari in urdu sms Hindi with images downloaded from here .Matlabi log poetry in Urdu sms for her. we hope you like this poetry. Android app poetry install and dunia quotes in Hindi downloaded for mobile and social media.
Duniya /دنیا poetry in Urdu SMS

Daulat-ē-duniya nahin jaanē ki hargiz tērē saath
Baad tērē sab yahin ai bē-khabar baT jaēgi
دولت دنیا نہیں جانے کی ہرگز تیرے ساتھ
بعد تیرے سب یہیں اے بے خبر بٹ جائے گی
दौलत-ए-दुनिया नहीं जाने की हरगिज़ तेरे साथ
बाद तेरे सब यहीं ऐ बे-ख़बर बट जाएगी
یہ اہل دنیا کے دلچسپ دھوکے
یہاں کسی کو کسی سے محبت نہیں
yē ahly duniya kē dilchasp dhōkay
yahan kisi kō kisi sē mōhabbat nahi

Kuch naya dard naya ghaō hō
Ku har ēk aah pē tum yaad aayē
کچھ نیا درد نیا گھاؤ ہو
کیوں ہر ایک آہ پہ تم یاد آئے
Tauba kitni simat gai duniya
ēk ghar kē nahi makēēn milty
توبہ کتنی سمٹ گئی دنیا
ایک گھر کے نہیں مکیں ملتے

Rōz mamura-ē-duniya mēn kharabi hai zafar
Aisi basti kō tō virana banaya hōta
روز معمورۂ دنیا میں خرابی ہے ظفرؔ
ایسی بستی کو تو ویرانہ بنایا ہوتا
रोज़ मामूरा-ए-दुनिया में ख़राबी है ‘ज़फ़र’
ऐसी बस्ती को तो वीराना बनाया होता

Yēh Bēwafa’ōn Ki Duniya Hai Dil Sambhal Kar Chalna Umar,
Yahan Lōg Barbad Karnē Kē Liyē Bhi Mōhabbat Ka Sahara Lētē Hain

Khafa hōyē thy yahi sōch kar mana ly ga
Kēsy khabar thi w duniya nayē basa lay ga
خفا ہوئے تھے یہی سوچ کر منا لے گا
کسے خبر تھی وہ دنیا نئی بسا لے گا
Duniya Sad Poetry

Kitni Mēhdōōd Si Hai Duniya Mēri,
ēk Main Hun ēk Mōhabbat Tēri

Yakēēnan inhy ankhōn kō dēkh kar kaha gaya tha kē
Tēri ankhōn ki siwa duniya mēin rakha kiya hai
یقیناً انہیں آنکھوں کو دیکھ کر کہا گیا تھا کہ
تیری آنکھوں کی سوا دنیا میں رکھا کیا ہے

Jab Bhi Jēē Chahē Nayi Duniya Basa Lētē Hain,
Aik Chēhrē Pē Dusra Chēhra Laga Lētē Hain

Duniya Nē Yunhēē Mujhē Ghazal’gr Samajh Liya,
Main Tōh Kisi Kē Husn Ki Tarēēf Likhta Hun

Itna na apnē jaamē sē bahar nikal kē chal
Duniya hai chal-chalav ka rasta sambhal kē chal
اتنا نہ اپنے جامے سے باہر نکل کے چل
دنیا ہے چل چلاؤ کا رستہ سنبھل کے چل
इतना न अपने जामे से बाहर निकल के चल
दुनिया है चल-चलाव का रस्ता सँभल के चल

Taluq Kam Karnē Sē Mōhabbat Kam Nahi Hōti,
Lōg Tōh Unhēy Bhi Yaad Kartē Hain Jō Duniya Chōr Jaatē Hain

Duniya mēin hō duniya ka talbgar nahi hōōn
Bazar sē guzra hōn kharēēdar nahi hōōn
دنیا میں ہوں دنیا کا طلب گار نہیں ہوں
بازار سے گزرا ہوں خریدار نہیں ہوں

Mujhsa Kōi Duniya Mēin Nadan Bhi Na Hō,
Karkē Jō Ishq Kēhta Hai Nuksan Bhi Na Hō

Mērē chēhrē pē duniya bhar ki nazrain
Mēra chēhrē tērē pairōn ki janib
مرے چہرے پہ دنیا بھر ک نظریں
مرا چہرہ تے پیروں کی جانب

Lafz Hain Lakhōn Duniya Mēin,
Mōhabbat Na Jaanē Kyun
Tērē Hēē Naam Sē Huyi Hai

لاکھ سمجھایا تٌجھے شَک کرتی ہے دٌنیا
بس گٌزر جایا کر مٌسکرایا نہ کر
lakh samjhaya tujhy shak karti hai duniya
bas guzar jaya kar muskuraya na kar
Matlabi duniya Poetry

Bhari duniya mēin faqat mujh sē nighayē na chōra
Ishq par bas na chaly ga tēri danai ka
بھری دنیا میں فقط مجھ سے نگاہیں نہ چرا
عشق پر بس نہ چلے گا تری دانائی کا

Jēēna Tōh Parēga Faqt Duniya Kō Dēkhanē Kē Liyē,
Warna Hum Nē Kab Chahi thi Uskē Bina Zindagi

Aē Mōhabbat Tērē Anjam Pē Rōna Aaya
Jaanē Kyun Aaj Tērē Naam Pē Rōna Aaya,
Kabhi Taqdēēr Ka Matam Kabhi Duniya Kē Gham
Manzil ē Ishq Mēin Har Maqam Pē Rōna Aaya

Ishq Kē Kōh ē Qaaf Mēin Hun
Aqal Kē Itikaf Mēin Hun,
Pēhlē Pēhlē Azēēz Thi Duniya
Aaj Kal Ikhtalaf Mēin Hun

Hum jō tēry bēgair zinda hai
Sab dikhawa hai duniya dari hai
ہم جو تیرے بغیر زندہ ہیں
سب دکھاوا ہے دنیاداری ہے

Tu kisi aur hi duniya mēin milli thi mujh sē
Tu kisi aur hi mausam ki mēhēk lai thi
تو کسی اور ہی دنیا میں ملی تھی مجھ سے
تو کسی اور ہی موسم کی مہک لائی تھی

Kōn kisi ka ghum khata hai
Kēhny kō ghum khawar hai duniya
کون کسی کا غم کھاتا ہے
کہنے کو غم خوار ہے دنیا
Saari duniya kō mēi sēh jata hōōn lēkin pathar
Jab tēry hath mēi takta hōōn tu mar jata hōōn
ساری دنیا کو میں سہہ جاتا ہوں لیکن پتھر
جب تیرے ہاتھ میں تکتا ہوں تو مر جاتا ہوں
Yahi duniya thi magar aj bhi yun lagta hai
Jēsy kaati hō tēry hijr ki raatēin kahin aur
یہی دنیا تھی مگر آج بھی یوں لگتا ہے
جیسے کاٹی ہوں ترے ہجر کی راتیں کہیں اور
Duniya shayari urdu
Na kar sauda tu shikwa hum sē dil ki bēkarari ka
Mhabat kis kō dēti hai miyan aaram duniya mēin
نہ کر سوداؔ تو شکوہ ہم سے دل کی بے قراری کا
محبت کس کو دیتی ہے میاں آرام دنیا میں

Akēla hō rah duniya mēin gar chahyē bōhat jēēna
Hōi hai faiz tanhai sē umar khazar tulani
اکیلا ہو رہ دنیا میں گر چاہے بہت جینا
ہوئی ہے فیض تنہائی سے عمر خضر طولانی
Duniya kē jhōt ēk taraf aur yēh ēk taraf
Mar jaōn gi mēin mujhē agar tum nahii mily
دنیا کے جھوٹ ایک طرف اور یہ ایک طرف
مر جاؤں گی میں مجھ اگر تم نہیں ملے
Saari duniya humy pēhchanti hai
Kōi hum sa bhi na tanha hōga
ساری دنیا ہمیں پہچانتی ہے
کوئی ہم سا بھی نہ تنہا ہوگا
Matlabi duniya Shayari in Urdu

bhuul shayad bahut baḌi kar li
dil nē duniya sē dōsti kar li
tamannaōñ mēñ uljhaya gaya huuñ
khilaunē dē kē bahlaya gaya huuñ
thōḌi si aql laa.ē thē ham bhi magar ‘adam’
duniya kē hadsat nē divana kar diya
bazicha-ē-atfal hai duniya mirē aagē
hōta hai shab-ō-rōz tamasha mirē aagē

jitni buri kahi jaati hai utni buri nahiñ hai duniya
bachchōñ kē schōl mēñ shayad tum sē mili nahiñ hai duniya
ik nazar ka fasana hai duniya
sau kahani hai ik kahani sē
nahiñ duniya kō jab parva hamari
tō phir duniya ki parva kyuuñ karēñ ham

raas aanē lagi duniya tō kaha dil nē ki ja
ab tujhē dard ki daulat nahiñ milnē vaali
ghar kē bahar DhūñDhta rahta huuñ duniya
ghar kē andar duniya-dari rahti hai
bhiiḌ tanha.iyōñ ka mēla hai
aadmi aadmi akēla hai
ġham-ē-duniya bhi ġham-ē-yar mēñ shamil kar lō
nashsha baḌhta hai sharabēñ jō sharabōñ mēñ milēñ

lamhē udaas udaas faza.ēñ ghuTi ghuTi
duniya agar yahi hai tō duniya sē bach kē chal
daa.ēm abad rahēgi duniya
ham na hōñgē kōi ham sa hōga
justujū jis ki thi us kō tō na paaya ham nē
is bahanē sē magar dēkh li duniya ham nē

duniya nē tajrabat ō havadis ki shakl mēñ
jō kuchh mujhē diya hai vō lauTa raha huuñ maiñ
ġham-ē-zamana nē majbūr kar diya varna
yē aarzū thi ki bas tēri aarzū kartē
bahut mushkil hai duniya ka sañvarna
tiri zulfōñ ka pēch-ō-ḳham nahiñ hai
duniya tō chahti hai yūñhi faslē rahēñ
duniya kē mashvarōñ pē na ja us gali mēñ chal
duniya jisē kahtē haiñ jaadū ka khilauna hai
mil jaa.ē tō miTTi hai khō jaa.ē tō sōna hai